This site is best viewed in Google Crome, Mozilla firefox or IE 6 or above
Showing posts with label Hindi Rhymes. Show all posts
Showing posts with label Hindi Rhymes. Show all posts
Sunday, August 14, 2011
Monday, June 13, 2011
Tuesday, April 12, 2011
Monday, October 12, 2009
Hindi Rhymes - Chu chu karti aayi chidiya
Lyrics
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa
daal ka daana laayi chidhiyaa
mor bhi aaya, kauva bhi aaya
chuha bhi aaya, bandar bhi aaya
chhun chhun karti aayi chidhiyaa
bhook lagi to chidhiyaa rani
moong ki daal pakaayegi
daal pakaayegi, daal pakaayegi
kauva roti laayega
laake tujhe khilaayega
mor bhi aaya, kauva bhi aaya
chuha bhi aaya, bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa..
Chalte chalte milega bhaalu
hum bolenge naacho kaalu
naacho kaalu, naacho kaalu
munna dhol bajaayega
bhaalu naach dikhaayega
mor bhi aaya...kauva bhi aaya
chuha bhi aaya, bandar bhi aaya
saath hamare chale baraati
main to hoon munne ke haathi
munne ka haathi, munne ka haathi
seedha dilli jaaounga
teri dulhaniyaa laaounga
mor bhi aaya kauva bhi aaya
chuha bhi aaya, bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa..
Hindi Rhymes - Ek titli anek titliyan
Lyrics
mmmm mmmm
hind desh... mmm huhu... hum sabhee.... ek hain... tara ra ra raaa
bhashaa anek hain
mmmm mmmm bhasha anek hain.... mmmm mmmmm
yeh anek kya hain didi ?
anek yani bahut saare....
bahut saare, kya bahut saare?
acha, batatee hoon...
suraj ek...
chanda ek.....
taare anek....
taroN ko anek bhi kehte hain ?????
nahi nahi !!
dekho phir se
suraj ek, chanda ek, ek ek ek karke taare bane anek....
theek se samjhao naa didi
dekho dekho ek gilahari
peeche peeche anek gilahariyan
ek thithli, ..... ek aur thithali......
ek ek ek karke ho gayee ab, anek thithliyaan...
samajhgaya didi
ek ungli, anek ungliyaan
haaan,
didi didi woh dekho anek chidiyan...
anek chidiyoN ki kahani sunoge ....
haan haan
aa aa aaa,
ek chidiya, ek ek karke anek chidiyan....
dana chugne aayee chidiyan .....
chorus : didi humen bhi sunaonaa.......
tho suno phirse...
ek chidiya, anek chidiyan
dana chugne baith gayee thi .....
hai raam, par wahan byaadh ne ek jaal bhijaya tha...
byaadh, byaadh kaun didi?
byaadh ... chidiya pakadne wala
"phir kya hua didi, byaadhne unhe pakad liya, maar daala... "
un..huh...
Himmat se gar jute rahe to
chote ho par, mile rahe tho
bada kaam bhi hove bhaiya..
bada kaam bhi hove bhaiya ...
ek..do..theen..
Chaturrr cidiyaan, sayaani chidiyaan
miljul kar, jaal le kar, bhaagee chidiyan
furrrrrrrrrrrrrrrrrr
door, ek gaaon ke paas, chidiyon ke dost, chuhe rahte the....
aur unhone, chidiyonkaa jaal, kaat diya.........
tho dekha ki tumne, anek, sirf ek hojate hain tho kaisa mazaa aata hain
didi main bataoon...
HO GAYE EK ...
BAN GAYEE TAKAT..
BAN GAYEE HIMMAT...
didi agar hum ek ho jaayen to bada kaam kar sakte hain?
haan haan, kyon nahi ...
to is ped ke aam bhi thod sakte hain ???
haan, thod sakte hain, par jugat lagani hogi ...
achaa, eh jugat, wah... bada mazaa ayegaa..
hind desh ke niwasi sabhi jana ek hain, -2
rang-roop vesh-bhaasha chaahe anek hain -2
ek-anek... ek-anek...
suraj ek, chanda ek, taare anek,
ek titli, anek titaliyaan
ek gilhari , anek gilhariyaan
ek chidiyan, ek ek... anek chidiyaan
bela gulab juhi champa chameli..... -2
phool hain anek kintu mala phir ek hai ...-2
Sunday, October 11, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)