This site is best viewed in Google Crome, Mozilla firefox or IE 6 or above

Monday, October 12, 2009

Hindi Rhymes - Ek titli anek titliyan



Lyrics


mmmm mmmm
hind desh... mmm huhu... hum sabhee.... ek hain... tara ra ra raaa
bhashaa anek hain
mmmm mmmm bhasha anek hain.... mmmm mmmmm


yeh anek kya hain didi ?
anek yani bahut saare....
bahut saare, kya bahut saare?
acha, batatee hoon...
suraj ek...
chanda ek.....
taare anek....
taroN ko anek bhi kehte hain ?????
nahi nahi !!

dekho phir se
suraj ek, chanda ek, ek ek ek karke taare bane anek....

theek se samjhao naa didi
dekho dekho ek gilahari

peeche peeche anek gilahariyan

ek thithli, ..... ek aur thithali......
ek ek ek karke ho gayee ab, anek thithliyaan...
samajhgaya didi
ek ungli, anek ungliyaan
haaan,
didi didi woh dekho anek chidiyan...
anek chidiyoN ki kahani sunoge ....
haan haan

aa aa aaa,
ek chidiya, ek ek karke anek chidiyan....
dana chugne aayee chidiyan .....
chorus : didi humen bhi sunaonaa.......
tho suno phirse...

ek chidiya, anek chidiyan
dana chugne baith gayee thi .....
hai raam, par wahan byaadh ne ek jaal bhijaya tha...
byaadh, byaadh kaun didi?
byaadh ... chidiya pakadne wala
"phir kya hua didi, byaadhne unhe pakad liya, maar daala... "
un..huh...
Himmat se gar jute rahe to
chote ho par, mile rahe tho
bada kaam bhi hove bhaiya..
bada kaam bhi hove bhaiya ...
ek..do..theen..
Chaturrr cidiyaan, sayaani chidiyaan
miljul kar, jaal le kar, bhaagee chidiyan
furrrrrrrrrrrrrrrrrr
door, ek gaaon ke paas, chidiyon ke dost, chuhe rahte the....
aur unhone, chidiyonkaa jaal, kaat diya.........
tho dekha ki tumne, anek, sirf ek hojate hain tho kaisa mazaa aata hain
didi main bataoon...
HO GAYE EK ...
BAN GAYEE TAKAT..
BAN GAYEE HIMMAT...
didi agar hum ek ho jaayen to bada kaam kar sakte hain?
haan haan, kyon nahi ...
to is ped ke aam bhi thod sakte hain ???
haan, thod sakte hain, par jugat lagani hogi ...

achaa, eh jugat, wah... bada mazaa ayegaa..
hind desh ke niwasi sabhi jana ek hain, -2
rang-roop vesh-bhaasha chaahe anek hain -2
ek-anek... ek-anek...
suraj ek, chanda ek, taare anek,
ek titli, anek titaliyaan
ek gilhari , anek gilhariyaan
ek chidiyan, ek ek... anek chidiyaan
bela gulab juhi champa chameli..... -2
phool hain anek kintu mala phir ek hai ...-2

1 comment:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP